Wednesday, 23 September 2015

"Kya dekhta hai uss taref"

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

Manjil ko khokar tu apni, raah paane hai nikala
Chahat ko khokar tu apne, dard chhupane hai nikala

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

Raqt ki boond boond se teri, dharti toh hai bheeg rahi
Par kya khudpe sitam se teri, mohabbat hai badal rahi

Jisko bepanaah tune chaha tha
Chahat ka jisse ikraar kiya tha
Aanchal ko jiske thama tha
Jisse tune pyaar kiya tha

Uski zindagi ki kitaab me
Kho gayi hai teri kadi
Pyaar ki daastan bhi teri
Reh gayi hai ankahi

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

Beet gye hai saalon ab, badal gya hai sara waqt
E kaafir.. sambhal ja
Warna iss maati se lipatkar, reh jayega bas yeh khat

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

--- by rjg

No comments:

Post a Comment