Wednesday, 23 September 2015

"Ek mulaqat"

(Ek mulaqat ko yun pyaar me, tum tabdeel na karo
Meri baaton pe tum pyaar se , yun muskuraya na karo)×2

Tumhare dil me kya hai , yeh janta hu m
Tumhari har ek ada ko, pehchanta hu m
Tumhara yun muskurana, jhulphon ko lehrana
Har pal pyaar jatana
Janta hu m

Ek mulaqat ko yun pyaar me, tum tabdeel na karo
Meri baaton pe tum pyaar se, yun muskuraya na karo

(Yun pyaar se mujhe, koi khata toh nahi
Par sochta hu ki, pakar tumhe kho na du m kahin)×2

Suna hai maine, chahat milti nahi jiye
Mar jata hai pyaar, amar hone ke liye
Reh jati hai kahani, adhoori..
Joh kabhi shuru hui thi, kisi ko paane ke liye
Kisi ko paane ke liye..

Ek mulaqat ko yun pyaar me, tum tabdeel na karo
Meri baaton pe tum pyaar se, yun muskuraya na karo

(Dil yeh mera, pyaar karta toh hai par batata nahi
Chupke se yeh, aahe bharta toh hai par jatata nahi)*2

Teri hi khatir yeh, bechain ho rha
Tujhse milne ke liye, pagal sa hai machal rha
Tujhse milke ab , kehna hai tujhko yeh
Ki pyaar karta hai yeh
Tujhse pyaar karta hai yeh
Ha pyaar karta hai yeh

Iss mulaqat ko, aa pyaar me tabdeel hum kare
Inn lamho ko, samaitkar hum falak tak chale
Aa falak tak chale
Hum falak tak chale...

--- by rjg
"Kya dekhta hai uss taref"

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

Manjil ko khokar tu apni, raah paane hai nikala
Chahat ko khokar tu apne, dard chhupane hai nikala

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

Raqt ki boond boond se teri, dharti toh hai bheeg rahi
Par kya khudpe sitam se teri, mohabbat hai badal rahi

Jisko bepanaah tune chaha tha
Chahat ka jisse ikraar kiya tha
Aanchal ko jiske thama tha
Jisse tune pyaar kiya tha

Uski zindagi ki kitaab me
Kho gayi hai teri kadi
Pyaar ki daastan bhi teri
Reh gayi hai ankahi

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

Beet gye hai saalon ab, badal gya hai sara waqt
E kaafir.. sambhal ja
Warna iss maati se lipatkar, reh jayega bas yeh khat

Kya dekhta hai uss taref, jidhar koi bhi nahi
Kya chahta hai iss kadar, ki khudki parvaah bhi nahi

--- by rjg
"Aankhein joh mili tujhse"

 Aankhein joh mili tujhse
Waqt badal gaya jaise

Raaste sab tujh tak chale
Tujhko dekhke hi waqt kate
Pyaar kiya sab se pare
Teri mehak se hum tare

Aankhein joh mili tujhse
Waqt badal gya jaise

Dil ki galiyon me tu
Raah ki manzil me tu
Meri har dhadkan me tu
Najar ke har darpan me tu

Hosh mera kho gaya
Kaboo khudpe na rha
Teri ek jhalak ne
Haal mera kya kar diya

Aankhein joh mili tujhse
Mujhko badal diya tune

--- by rjg

Wednesday, 9 September 2015

"Na pyaar kiya hota"

Na maine tujhko , dil diya hota
Na maine tujhse , pyaar kiya hota

Tujhse dil lagane se
Har pal pyaar jatane se
Mila kyaa....
Bas meri tanhai reh gayi
Jab tu yun chali gayi
Ha maan liya maine ise
Tera faislaa.....

Na maine tujhko , dil diya hota
Na maine tujhse , pyaar kiya hota

Iss dil ki dillagi me
Iss pyaar ki aashiqui me
Tune mujhko rulaaya badaa...

Ab raina bhi baraste hai
Ab shaam bhi dhalti hai
Par dil ko toh bas mere
Teri kami khalti hai

Ab raat bhi hoti hai
Ha yaar bhi hote hai
Par m khoya hua aajkal
Har pal tanha rehta hu

Na maine tujhko, dil diya hota
Na maine tujhse , pyaar kiya hota

Jab fidrat me tere daga thi
Pyaar ki na koi wajah thi
To meri zindagi me tu
Aayi kyu....

Na maine tujhko , dil diya hota
Na maine tujhse , pyaar kiya hota

Na maine pyaar kiya hota...
Na pyaar kiya hota....

--- by rjg