Wednesday 24 August 2016

" Meri humnawa"

Humnawa ... Sun zara
Meri dhadkano ke dhadakne ki wajah
Humnawa sun zara
Mere hothon ne joh na kaha

Mujhe pyaar kitna
Yeh toh maine sau vaar kaha
Par tu hai kya
Mere liye kaise batau tujhe mai

Meri saans hai tu , mera naaj hai
Meri rhythm hai tu , mera gaan hai

Ek pal judai me , aadha dil hota hai
Tujhse na mile toh , mera hona na hona hota hai

Humnava... Sun zara
Meri aankhon ka woh sama
Jab dekhu tujhe palke chhapke bina
Humnava sun zara
Meri bewajaah muskurahat ki wajah

Teri ek aah se , meri dhadkane ruk jaaye
Tere kehne bhar se , hum tujhpe mit jaaye
Par tera gam se , koi naata ganwara na humko ho paaye

Mera ehsaas hai , meri khwaishon me tu
Mera raaj hai , meri dhadkano me tu

Humnawa ... Sun zara
Maine joh naa kaha

Baatein raaton chale , par dil na maane kabhi
Hathon me ho haath tera , woh pal na chhoote kabhi

Humnawa... Sun zara
Humnawa... Sun zara
Mere ashkon ke hone ki wajah
Humnawa sun zara
Maine joh tujhse hai kabhi na kaha

Har pal joh mai jeeyu , woh tere saath rahe
Chahe mai rahoon ya nahi , tere dil me meri mohabbat rahe
Chahe mai rahoon ya nahi , tere hothon pe meri muskurahat rahe

Meri manmaniya , meri naraajgiyan hai tu
Meri zidd hai , mera pyaar hai tu

Meri Humnawa... Sun zara
Maine joh hai kaha

Meri humnawa.... sun zara...

---by rjg

Thursday 30 June 2016

" Dilnasheen "

Dilnasheen ...( tu bhi keh de mujhe dilnasheen
Humsafar , ban jau mai tera agar
Toh savar jaaye yeh dillagi
O dilnasheen )×2

( Tu haske do bol bhi kahe
To lage koi shaayari
Tujhse aankhon se aakhein mile
Toh baatein hoye ansuni
O dilnasheen )×2

Kehne ko toh dil mera
Haal jaane dil ka tere
Par alfaaj woh ankahe
Sun ne ka mann kare
O dilnasheen tu bhi keh de mujhe dilnasheen
o dilnasheen...

dilnasheen...( yuhin kabhi
Pehli baarish me hum mile
Haath pakde bheege huye chal de
Par mausam badle nahin
O dilnasheen )×2
 Tu bhi keh de mujhe dilnasheen

Meri aashiqui meri aawaragi
Meri mousikhi meri dillagi
hai tu... o dilnasheen...
 Tu joh kahe toh har sitam seh loon
Tujhe deke khushi har gam mai le loon
O dilnasheen... mere dilnasheen

Dilnasheen... Mil jaa tu aake kahin
Meri bandagi... Le le tu jaan meri

Mere dilnasheen... mil jaa tu aake kahin...

---rjg

Saturday 28 May 2016

" Ek pari "

( Ek pari sohni si , mere sapno me aaye
Chura ke dil ko mere , sougat pyaar ki woh laaye )×2

Noor tere chehre ka , sabki aankhon ko tadpaye
Par khoobsurati tere mann ki , ek dil hi pdd paaye

Ek pari sohni si , mere sapno me aaye
Chura ke dil ko mere , sougat pyaar ki woh laaye

( Kabhi door joh ho tum humse
Saansen meri ruk jaaye
Dekhe bina na tumko
Humse ek din bhi jeeya jaye )×2

Kehne ko toh tum , mere hi saath ho
Par ek pal bhi tumhare bina , ganwara na ho paaye

Ek pari sohni si , mere sapno me aaye
Chura ke dil ko mere , sougat pyaar ki woh laaye

( Aankhon se aansoon tere
Chahe ek bhi jhalak jaye
Aneko jakham yeh mere
Seene me kar jaye )×2

Joh bhi maine chaha hai , sab tujhse hi mil jaye
Raatein yeh meri ab , tere haathon pe hi kat jaye

Ek pari sohni si , mere sapno me aaye
Chura ke dil ko mere , sougat pyaar ki woh laaye

( Aanchal se lagg ke tere
Hi mera savera hoye
Aankhon me mere ek
Teri hi tasveer hoye )×2

Mere saare geeton ko , ek din hum phir se gaaye
Saath jeeye palon ko , hum waqt se wapas le aaye

Ek pari sohni si , mere sapno me aaye
Chura ke dil ko mere , sougat pyaar ki woh laaye...

--- by rjg

Sunday 24 April 2016

" Kuch Dino Se "

Arj hai..
Husn ka tere kaise deedar kare
Jab nazrein hi isme dooba kare
Yeh toh ek heer hai
Ise labson me hum kaise bayaan kare

( Tujhse baatein karna, tere saath chalna aadat ban rahi hai
Kuch dino se yeh zindagi achhi lagg rahi hai )×2

Tujhe takna chhup chhup ke dekhna jarurat ban rahi hai
Kuch dino se yeh zindagi achhi lagg rahi hai

Arj hai..dil ne tujhe hi chaha hai
Dil ne tujhe hi paaya hai
Rom rom me isne
Bas tujhe hi basaya hai

( Pehle bhi raatein thi par itni haseen kabhi na thi jaisi ab ho rahi hai
Pehle bhi badal barse hai par itne suhane sirf abhi lagg rahe hai )×2

Aankhein meri tujhse kuch keh rahi hai
Baat dil ki honth nahi nazrein kar rahi hai
Ashq pyaar ke sab bayaan kar rahe hai
Par yeh baatein hi jaankar anjaan ho rahi hai

Kuch dino se yeh zindagi achhi lagg rahi hai

Arj hai.. dil joh diya hai tumne , hifajat me hamari
Rahega mehfooj sadaa yeh , ayaat mohabbat me hamari

( Dhadkan meri tere hi naam ko liye chal rahi hai
Pal pal dhalte dinon se chahat meri ishq me badal rahi hai )×2

Hasrat hai ki dil ko mere
Bas teri panaah mil jaye
Chhed ke raag ulfat ki
Hum tujhme fanaah ho jaye

( Yaadein ab tujh sang beete lamho se ban rahi hai
Teri hi julf hai joh mujhpe saaya kar rahi hai )×2

Tujhse baatein karna tere saath chalna aadat ban rahi hai
Kuch dino se yeh zindagi achhi lagg rahi hai
achhi lagg rahi hai...

--- by rjg

Tuesday 9 February 2016

Dostii teri meri

( Dostii teri meri andekhi ansuni kahani
Pyaar ki dard ki ankahi kurbani )×2

M akele yadoon me jee raha tha
Dard ko bahoon me liye seh raha tha
Rishte majhdhaar me chodke chal raha tha
Kasme vaadein bhulakar saanjh me dhal raha tha

( Tujhse milke tere dil ko padke
Hasi meri phir mil gayi mujhse
Masoomiyat teri zinda kar gayi
Dil ko mere ek baari phir se )×2

Dostii teri meri andekhi ansuni kahani
Pyaar ki dard ki ankahi kurbani

Do dil anjaane mil rahe the
Pyaar ki sadaayein de rahe the
Mohabbat ke rang me dhalte diye
Ishq ke parvaan chad rahe the

( Dostii karke mohabbat me padke
Jahaan badal raha tha mera tujhse
Haath thamein kalai pakde
Chal rahe the nadi ke do kinaare )×2

Dostii teri meri andekhi ansuni kahani
Pyaar ki dard ki ankahi kurbani

Doobte suraj ko kahan milti hai roshni
Kayal andheron me hi chhupti hai chandani
Viraani meri jaise phir aa mili mujhse
Rukh modti kismat na ho saki kabhi meri

( Judaii karke tujhse bichhadke
Aansu liye na jee sakenge hum
Par saath rehke teri kurbaaniyan
Na dekh sakenge hum )×2

Dostii teri meri andekhi ansuni kahani
Pyaar ki dard ki ankahi kurbani...

--- rjg

Sunday 3 January 2016

"Teri aankhon ka har aansu"

Heer thi ranjhaa ki
Pyaar woh karte the
Rishta tujhse woh nahi
Par parvaah karu m wohi

( Teri aankhon ka har aansu, tadpaaye mujhe bhi
Meri aankhon se yeh nikle, banke dard tera hi )×2

Tere lamhe meri shohrat , bhoolunga na m inhe kabhi
Teri boli sangeet mera, thirke tan uspe hi

 Teri aankhon ka har aansu, tadpaaye mujhe bhi
Meri aankhon se yeh nikle, banke dard tera hi

(Tera mujhse nata mana dostii ka hi sahi
Par mehfuj kare mujhko, tera saath hona hi)×2

Meri har aah se, dil ki ek hasrat hai
Ki gamo ko lekar m tere, de du tujhe bas khushi
Andhere teri zindagi ke , door karu m sabhi

Teri aankhon ka har aansu, tadpaaye mujhe bhi
Meri aankhon se yeh nikle, banke dard tera hi

Tere door hone par, ashq bhi mere bagavat kare
Tujhe dard me paakar, raqt jaise mera bahe

(Parchai bankar m teri , katunga har pal tera
Humsafar nahi par humdard banke, rahunga m saath sada...)×2

Teri aankhon ka har aansu, tadpaaye mujhe bhi
Meri aankhon se yeh nikle, banke dard tera hi

---- by rjg

Wednesday 23 September 2015

"Ek mulaqat"

(Ek mulaqat ko yun pyaar me, tum tabdeel na karo
Meri baaton pe tum pyaar se , yun muskuraya na karo)×2

Tumhare dil me kya hai , yeh janta hu m
Tumhari har ek ada ko, pehchanta hu m
Tumhara yun muskurana, jhulphon ko lehrana
Har pal pyaar jatana
Janta hu m

Ek mulaqat ko yun pyaar me, tum tabdeel na karo
Meri baaton pe tum pyaar se, yun muskuraya na karo

(Yun pyaar se mujhe, koi khata toh nahi
Par sochta hu ki, pakar tumhe kho na du m kahin)×2

Suna hai maine, chahat milti nahi jiye
Mar jata hai pyaar, amar hone ke liye
Reh jati hai kahani, adhoori..
Joh kabhi shuru hui thi, kisi ko paane ke liye
Kisi ko paane ke liye..

Ek mulaqat ko yun pyaar me, tum tabdeel na karo
Meri baaton pe tum pyaar se, yun muskuraya na karo

(Dil yeh mera, pyaar karta toh hai par batata nahi
Chupke se yeh, aahe bharta toh hai par jatata nahi)*2

Teri hi khatir yeh, bechain ho rha
Tujhse milne ke liye, pagal sa hai machal rha
Tujhse milke ab , kehna hai tujhko yeh
Ki pyaar karta hai yeh
Tujhse pyaar karta hai yeh
Ha pyaar karta hai yeh

Iss mulaqat ko, aa pyaar me tabdeel hum kare
Inn lamho ko, samaitkar hum falak tak chale
Aa falak tak chale
Hum falak tak chale...

--- by rjg